KHUD SE PYAR
Dil ki dor bandhi sanso se
man mera gulzar hogaya
mujhko khud se pyar ho gaya.
rishtey naton ka ye bandhan
mujhko raas na aye
mera man ek banjara man
jahan chahe ram jaye,
mera apna dard-e-gum hi
swatah mera shringaar ho gaya,
mujhko khud se pyar ho gaya.
jaati na,mazahab mera koi
na hi koi thikana
pyar ki bhasha janu main bas
dur bahut hai jana.
jahan ruk jau main pal-do-pal
wahin mera sansar ho gaya
mujhko khud se pyar ho gaya.